skip to main |
skip to sidebar
log sochte hai kisi ko hara kar,
wo jeet jayengey,
pahle haar ki midhas to chakh,
lijiye?
fir jeetney ki kaduvahat ko,
apna samjhna?
ek ko paa lena aur ek ko kho,
dena duniya ka chalan hai,
kinare par bede der se sochte hai
is tufani si lehron se bach kar paar,
ho jaye to kinara bichad jayega,
ab us paar jaye ki is kinare se,
dilo-jaan se saath nibhayen?
ruk jayen ki door tak tere piche ayen?
kashti to tuti hai in hatho ko hi patvar banaye,
sab to jal gaya bas ek dhadkan bacha rakhi hai,
ek choti si aas se hai jo sabse chipa rakhi hai,
is aas mai harte jate hai,
ek din jeet jitane khud ayegi..................
sanbhale,
sindoori abha se chalakta,
tum na kahna kisi se,
tum na bulana kisi ko,
nigahe vish hoti hai,
kisi ki ungli na udne dena,
murjha jayega,
jab hum milengey to,
apne-apne ansuon ki bhet,
chadayengey,
isse lipti bel ki ankho mai,
kajal,
aur mathe ko ek sindoori,
abha se bhar jayengey...............