mann mai ek khalipan rehta hai,
bharne ki koshish mat karna,
is khalipan mai ek sukh hai,
darr nahi hai,door tak dikhta hai,
dard ko saaf dikhai deta hai,
kisse batogi aur kyon batogi?
ek yehi to apna hai,
chod jane ki taklif nahi hai,
kuch pane ki ummid nahi hai,
ajkal hum ek doosre ko pehchante hai,
apas mai ghul-mil kar samye ko,
beet jane ki raah dikhate hai,
wo mujhe janta hai mai usko,
par pehchante nahi hai,
yehin ruk jane ko manate hai,
dhop,chanv,andhera,ujale,
har rang mai bheegi hui palko ko,
har wqt sukha hua dikhate hai,
mujhe pata hai,mere bheetar jo,
khalipan hai ye tum ho,
bahut se shabd hai jo kahe nahi,
par mai janti hun tumne gun liye hai,
sunepan ne unko chupke se apne mai,
samet kar sine mai chipa liya hai.....................
0 comments:
Post a Comment