na jane kitni baar samjhaya,
tu sirf ek akela hai,
par usne hamari ek bhi na suni,
hum har aine mai uski ek,
jhalak talashte rahe,
aur wo hamare piche khadi,
parchahiyon ko ginte-ginte,
palo ko hatho se chine jate,
dekhta raha,
uski in bato ne palo ko chota,
kar diya,
dino ko raat ke andhere sa aur,
jivan ko parchaiyon ke jamghat,
mai kho jane diya,
parchaiyan hath nahi aati,
andhera darata raha,
der tak sochte rahe,
ek sire ko usko thama-kar,
doosre sire ko in parchaiyon se,
jod de,
kuch uska bhi dil bahal jayega,
kuch hamare andhere bhi sanvar,
jayengey,
par ek-adh koshish kaam nahi ai,
ab us khuda ko saunp diya hai,
dekho wo bin jaan ke kinaro ko,
kese mila deta hai...............................................
0 comments:
Post a Comment