Astitva

welcome

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and typesetting industry. Lorem Ipsum has been the industrys standard dummy text ever since the 1500s, when an unknown printer took a galley of type and scrambled it to make a type specimen book. It has survived not only five centuries, but also the leap into electronic typesetting, remaining essentially unchanged. It was popularised in the 1960s with the release of Letraset sheets containing Lorem Ipsum passages, and more recently with desktop publishing software like Aldus PageMaker including versions of Lorem Ipsum.

BOLTI SI TASVIR


abhi tumhari tasvir dekhi,
to ye ehsas hua,
kuch tha tumhari awaj mai,
jisko mai mann se gunn nahi pai,
esa laga basant mai patjhar ka pila patta?
ya rimjhim mai chipe moti?
har koi apni nigah se dekhta hai,
duniya ka falsafa likhne wale bhi,
un shabdo ko likh nahi paye,
dil ke bhitar chipi ek duniya hai,
jahn ankhe bolti hai,
dil shabd deta hai,
honto se sunte hai,
hath us disha mai chal padte hai,
aur panv thamkar bedh jate hai,
dil dimag par fikra kasta hai,
meri baat suno,meri baat suno...........

HAR LAMHA KUCH KEHTA HAI


duao ke marhem nahi chaiye,
baduayen hi dil ko raas aa gai hai,
kisi ki dosti ki aas nahi reh gai,
dushmani dil ke kuch is tarah,
paas aa gai hai,
haqikaton mai kaduva jeher hota hai,
khubsurat khvabo ke jaam asar nahi,
karte,
khare ashko ka asar esa hua ki,
nashe ke adat si ho gai hai,
na kisi ki wafa par koi etbaar hai,
na kisi ki jafa ka asar hota hai,
is duniya ne ankho mai ek katra,
nahi choda,
aur uspar is daman ko na bhigne,
ki adat raas aa gai hai,
koi apna hai ya paraya ab in baton,
ka asar nahi reh gaya,
dil ko apne sare rishto se kuch is,
tarah shikva hua ki,
labon par shikayat ke lafj na,
lane ki adat ho gai hai.

EK SAFAR KI SHURUAT--


tamam koshisho ke baad bhi rango ke dhang samjh nahi aye,suraj ki saat kirne kitni chamak bikherti hai,par ek nilabh abha kese cha jati hai,ek gahrai se ubhar kar satah par le ati hai,yunhi utrane ka mann hota hai,us nili abha ke sath uski tarango mai ji lene ka mann hota hai,kahin door ek akushi chilahkti hai jane kya kehti hai?mann ko apni bani se bandhna chahti hai,par uska swar bhi dhundhla jata hai,sach mai dekhe hue ko fir se dekhne ka mann ho ata hai,kabhi dekha tha dhundle rang ke pani mai bhi machliya utni hi chanchalta se terr rahi thi jese nile jal mai khush hoti hai,sunehri dhup bhi bas apne mai khoi hai,chandni yunhi chamakati hai,kisi ko kisi ke safar ka kuch khayal nahi hai,sabto apne mai khoye hai,jungale ke paas se gujre wo pal jese piche ko bulate hai,bann ki kitni dekh-rekh karni padati hai,to is jhanjhat ko kaun gale lagaye,sab kuch jungle ho jane do,sare rango ka dhang samjhne mai vyarth hi kyon samaye bitaya,ek hi rang acha hai,us nili abha ko chaya rahne do,doobte utarate acha lagta hai,apne mai ek sukun hai,na kahin jane ki jaldi hai,na kuch pane ki asha,kabhi-kabhi yunhi theher jana kitna lambe safar sa acha lagta hai?

HAMESHA


humne to unko yaad rakha hum khayalo ki tarah,
wahi humko bhul gaye chand sawalo ki tarah?
gum se nibhana sikh lo wo nahi jata chod kar,
ache khayalo ki tarah.

TUM


log kahte hai bahut SARI roshni chahiye?
par mujhe lagta hai ek nanhi si KIRAN,
jivan mai BAHUT sa ujala fela deti hai,
ek nanhi si muskurahat chaand si roshni,
fhela kar cnaadni se bhar deti hai.