Astitva

welcome

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and typesetting industry. Lorem Ipsum has been the industrys standard dummy text ever since the 1500s, when an unknown printer took a galley of type and scrambled it to make a type specimen book. It has survived not only five centuries, but also the leap into electronic typesetting, remaining essentially unchanged. It was popularised in the 1960s with the release of Letraset sheets containing Lorem Ipsum passages, and more recently with desktop publishing software like Aldus PageMaker including versions of Lorem Ipsum.

EK SAFAR KI SHURUAT--


tamam koshisho ke baad bhi rango ke dhang samjh nahi aye,suraj ki saat kirne kitni chamak bikherti hai,par ek nilabh abha kese cha jati hai,ek gahrai se ubhar kar satah par le ati hai,yunhi utrane ka mann hota hai,us nili abha ke sath uski tarango mai ji lene ka mann hota hai,kahin door ek akushi chilahkti hai jane kya kehti hai?mann ko apni bani se bandhna chahti hai,par uska swar bhi dhundhla jata hai,sach mai dekhe hue ko fir se dekhne ka mann ho ata hai,kabhi dekha tha dhundle rang ke pani mai bhi machliya utni hi chanchalta se terr rahi thi jese nile jal mai khush hoti hai,sunehri dhup bhi bas apne mai khoi hai,chandni yunhi chamakati hai,kisi ko kisi ke safar ka kuch khayal nahi hai,sabto apne mai khoye hai,jungale ke paas se gujre wo pal jese piche ko bulate hai,bann ki kitni dekh-rekh karni padati hai,to is jhanjhat ko kaun gale lagaye,sab kuch jungle ho jane do,sare rango ka dhang samjhne mai vyarth hi kyon samaye bitaya,ek hi rang acha hai,us nili abha ko chaya rahne do,doobte utarate acha lagta hai,apne mai ek sukun hai,na kahin jane ki jaldi hai,na kuch pane ki asha,kabhi-kabhi yunhi theher jana kitna lambe safar sa acha lagta hai?

1 comments:

Aarini said...

kitna khubsurat khayal hai..lagta hai jaise koi swapnlok ki baat ho rahee ho