abhi tumhari tasvir dekhi,
to ye ehsas hua,
kuch tha tumhari awaj mai,
jisko mai mann se gunn nahi pai,
esa laga basant mai patjhar ka pila patta?
ya rimjhim mai chipe moti?
har koi apni nigah se dekhta hai,
duniya ka falsafa likhne wale bhi,
un shabdo ko likh nahi paye,
dil ke bhitar chipi ek duniya hai,
jahn ankhe bolti hai,
dil shabd deta hai,
honto se sunte hai,
hath us disha mai chal padte hai,
aur panv thamkar bedh jate hai,
dil dimag par fikra kasta hai,
meri baat suno,meri baat suno...........
2 comments:
बहुत ही गहरे एहसास से गुंथे शब्द, हर एक शब्द भावनाओं में पिरोया हुआ. आपको पढ़ना एक अनुभव लगा. शुक्रिया इस ज़ज्बात को मुझ तक पहुँचाने के लिए.
आपका अनुज
मनुज मेहता
manuj tumhe yahn dekhkar bahut khushi hui...............
Post a Comment