skip to main |
skip to sidebar
duao ke marhem nahi chaiye,
baduayen hi dil ko raas aa gai hai,
kisi ki dosti ki aas nahi reh gai,
dushmani dil ke kuch is tarah,
paas aa gai hai,
haqikaton mai kaduva jeher hota hai,
khubsurat khvabo ke jaam asar nahi,
karte,
khare ashko ka asar esa hua ki,
nashe ke adat si ho gai hai,
na kisi ki wafa par koi etbaar hai,
na kisi ki jafa ka asar hota hai,
is duniya ne ankho mai ek katra,
nahi choda,
aur uspar is daman ko na bhigne,
ki adat raas aa gai hai,
koi apna hai ya paraya ab in baton,
ka asar nahi reh gaya,
dil ko apne sare rishto se kuch is,
tarah shikva hua ki,
labon par shikayat ke lafj na,
lane ki adat ho gai hai.
0 comments:
Post a Comment